Story No: 02
Khubsort Chirya ke 3 Nasehten
Ak bar ak shaks ko ak khubsort se chirya pasand agy or us n use khired lya. Wo pore raste use dekhta jata us n mehsos kya k wo jitna khush h is chirya ko paa k utna he chirya udas se h. Wo shaks abhi ghr bhi na pohnca tha k achanat chira bol pare ay mery khiredar mujh se tujhy koe faida nahi pohncy ga magr to mujhy azad krny ka wada kre to m tujhy 3 nasehaten kron gy or hr naseht ke agr tm kemat lago to kisi khazany se km na ho gy.
Chirya boly k 2 naseht m tm ko abhi kron gy magr ak naseht us waqt jb tm mujhy azad kr do gy us admi n kuch der socha k malom nahi ayse kon se naseht ho jis se waqy mujhy faiza pohncy soda mehnga nahi h us n chirya se wada kya k m tm ko azad kr don ga..
Chirya boly: mery pehly nasehat y h k Agr koe nemat tmhare hath se chaly jae to is ka afsos na krna. Agr wo tera naseb hoty to kabhi tere pas se na jaty
Chirya n kaha: mery dosre naseht y h k jb koe tm se koe muhal, na mumkin se baten kre to is pr hargiz tawaj'jah na dena or is ko nazar andaz kr dena
us shaks n naseht sun k wady k mutabiq chirya ko azad kr dea or us ka shukria ada kya sath y bhi pocha k ab tm apny akhri naseht mujhy bta do. chirya ur k samny darakht ke ak shakh p beth k boly
kesy nasehat????????
Ae Bewaqof insan, tm n apna nuksan kya. Mery pet m Qemty moti th jin ke kemat bht zyada th m n tm ko dhoka dea or tmhare Qabze se azad ho gy agr tm ko malom ho jata to tm mujhy kisi Qemat p Azad na krty.
Ab y sun k us shaks ko bht gussa aya us ke samajh m na aya k wo kre to kya kre ghuse m wo chirya ko bura bhala kehny laga. chand lamhon k bad us ko kuch khyal aya to us n chrya se kaha k ab to moty mery hath se gy m kuch nahi kr sakta to tm mujhy naseht he kr do !!
Chirya boly k acha y btao m n tm se kaha tha na k jo chez tmhen na mily us ka afsoos na krna magr m dekh rahy hon k tm mustakil un motyon k ly afsos kr rahy ho or tm ko gam h k tm n mujhy keun chora or m n tm se y bhi kaha tha k agr koe tm se na mumkin or muhal bat kahe to us p dehan na dena or tm n y man lya k mery pet m Qemty moty hen. Tm to in do nasehaton k laiq bhi nahi m tm ko tesre nasehat nahi kron gy keun k tm us ke bhi Qadr nahi kro gy. chirya y keh k fiza m ur gy or dekhty he dekhty us shaks ke nazron se ojhal ho gy
Pyre nanhy muny bachon is story se y sabq milta h k hmen apne bron ke he nahi balky apny choton ke bhi btae hoe achy baton ko gor se suna cahy or un p amal bhi krna cahy y nahi k ak kan se sun k dosre kan se nikal dea y kam achy bachy nahi krty. achy bachy wo jo achy baton p khud bhi amal kre or dosron ko bhi is bare m bten is ak choty se chirya ke naseht p agr is shaks n amal kya hota to ho sakta h k us ko is se or bhi kuch acha sekhny ko milta. jb hm kisi ko achy baton p amal nahi krty to hm khud he nuksan uthaty hen....